Bulleya Lyrics – Sultan – Papon

Bulleya lyrics from the movie Sultan. The Song is sung by Papon. and music has been composed by Vishal-Shekhar.

The lyrics of the song have been penned by Irshad Kamil. Starring Salman Khan, Anushka Sharma, Urvashi Rautela, Amit Sadh.

Song: Bulleya
Movie: Sultan
Singer: Papon
Music Director: Vishal-Shekhar
Lyrics: Irshad Kamil
Star Cast: Salman Khan, Anushka Sharma, Urvashi Rautela, Amit Sadh

Bulleya Lyrics & Video Review

https://www.youtu.be/FCZZ6PQLZy4

Bulleya Lyrics:

Kuch rishton ka namak hi doori hota hai
Na milna bhi bohat zaroori hota hai
Dum dum, dum dum tu mera
Dum dum, dum dum mera hal
Dum dum, dum dum tu mera
Dum dum, dum dum mera hal
Dum dum, dum dum..

Tu baat kare ya na mujhse
Chahe aankhon ka pegaam na le
Par ye mat kehna are o pagle
Mujhe dekh na tu, mera naam na le

Tujhse mera deen dharam hai
Mujhse teri khudai (x2)

Tu bole toh main ban jaaun
Main Bulleh Shah saudai
Main bhi naachun..
Main bhi naachun manau sohne yaar ko
Chalun main teri raah bulleya
Main bhi naachun rijhaun sohne yaar ko
Karun na parwah bulleya

Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu

Mera mehram tu, marham tu
Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu

Maana apna ishq adhura
Dil na ispe sharminda hai
Poora hoke khatam hua sab
Jo hai aadha wo hi zinda hai

See also  Chali Kahani Lyrics | Sukhwinder Singh | Tamasha

Ho bethi rehti hai umeedein
Tere ghar ki dehlizon pe
Jiski na parwaaz khatam ho
Dil ye mera wahi parinda hai…

Bakshe tu jo pyaar se mujhko
Toh ho meri rihaai (x2)

Tu bole toh main ban jaaun
Main Bulleh Shah saudai
Main bhi naachun..
Main bhi naachun manau sohne yaar ko
Chalun main teri raah bulleya
Main bhi naachun rijhaun sohne yaar ko
Karun na parwah bulleya

Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu

Tu yaad kare ya na mujhko
Mere jeene mein andaaz tera
Sar aankhon par hai teri naaraazi
Meri haar mein hai koi raaz tera

Shayad meri jaan ka sadka
Maage teri judaai (x2)

Tu bole toh main ban jaaun
Main Bulleh Shah saudai
Main bhi naachun..
Main bhi naachun manau sohne yaar ko
Chalun main teri raah bulleya
Main bhi naachun rijhaun sohne yaar ko
Karun na parwah bulleya

Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu

Mera mehram tu, marham tu
Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu
Mera har dum dum har dum tu

Kuch rishton ka namak hi doori hota hai
Na milna bhi bohat zaroori hota hai


Share on:

Leave a Comment